Showing posts with label Dosti. Show all posts

Jab tumhe koi gham sataye


Jab tumhe koi gham sataye
Jab koi baat dil ko na bhaye
Yaad karke dekna hume
Shayad ek aansu kam ho jaye

Patjhad mein pattey


Patjhad mein pattey jhad jayeinge
Sawan baad panchi ud jayeinge
Jab dil chahe yaad karlena hume
Hum qayamath ke din bhi chale aayeinge

Raat hogi tho chand


Raat hogi tho chand taare dikhaye denge
Khabo'n mein tumhe kaii chehre dikhaye denge
Ye dosti zara sounch samaj kar karna
Tumhare aanso'n ki awaaz bhi hum ku sunayi denge.

Khuda na kare aap ko koi


Khuda na kare aap ko koi gham mile
Aap ko khushi aur hansi har dam mile
Agar koi gham aap ki taraf badhe
Khuda kare raaste me usse hum mile.