Showing posts with label Zindagi Shayari. Show all posts

Ankho me Aakar Ruk Jate Hai Ansu

Ankho me Aakar Ruk Jate Hai Ansu,
Palko pe Aakar Ruk Jate Hai Ansu. .
Dil to Karta Hai Bah Jane Du,
Magar Apko Hasta Dekh Sukh Jate Hai Ansu. .

Guzri hui zindagi ko kabhi yaad na kar

Guzri hui zindagi ko kabhi yaad na kar,
Taqdeer mai jo likha hai uski fariyad na kar,
Jo hoga wo hokar rahega,
Tu kal ki fikar mai apni aaj ki hasi barbad na kar,
Hans marte hue bhi gata hai,
Aur Mor nachte hue bhi rota hai,
Ye jindagi ka funda hai boss,
Dukho wali raat neend nahi aati,
Aur Khushi wali raat kaun sota hai.

Tanha Ho Kabhi To Mujhe Dhoondh Lena

Tanha Ho Kabhi To Mujhe Dhoondh Lena,
Is Dunia Se Nahi Apne Dil Se Puch Lena,
Apke As Pas Hi Kahi Rehte Hain Hum,
Yado Se Nahi To Sath Guzare Lamho Se Pooch Lena…

Dil Ko Adat Si Ho Gai Hai

Dil Ko Adat Si Ho Gai Hai
Chot Khane Ki,
Bhigi Palko Ke Sang Muskrane Ki,
Kash Anjam Hum Pehle Se Jaan Jate,
To Kosish Bhi Nahi Karte Dil Lagane Ki…

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai,
Palke Uthe To Izhaar Ho Jata Hai,
Na Jane Kya Kasish Hai Chahat Main,
Ke Koi Anjaan Bhi Hamari
Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai.

Unke liye jb humne bhatkna chhod diya

Unke liye jb humne bhatkna chhod diya,
Yad me unki jab humne tadapna chhod diya...
Wo roye bahut humse lipatkar,
Magar tab jab hamare dilne dhadkana chhod diya....

Kya Yahi Hai Kamaal Ishq...


Kya Yahi Hai Kamaal Ishq-o-Mohabbat Karne Ka..!!

Umar Jeene Ki Hai Aur Shauk Marne Ka...!!

Wohi haath kisi aur k haathon main



Wohi haath kisi aur k haathon main AjeEb lagta hain,,♥

Jin haathon ki choriyan kabhi to0ti thi mera haath main,,♥

Ghamon ne ansoo bahakar mujse ye kaha


Ghamon ne ansoo bahakar mujse ye kaha,
Saath na chhodo hamara tumse ye he iltaja,

Tumhare saath rehkar humbhi muskurane lage the,
Tum jab humein bayan karke logon ko hasane lage the,

Ab pad chuki hai aadat hamein muskurane ki,
Bhala har gham ko saza kyun ho rulane ki,

Ye sunkar humne ghamon ko gale se lagaya,
Phir kai mehfilon mein humne logon ko hansaya.

Barish Thi Hum Thay Aur Ghani Horahi Thi Sham


Barish Thi Hum Thay Aur Ghani Horahi Thi Sham
Tum Nay Lia Tha Kanptay Honton Say Mera Naam

Me Nay Kaha Tha "Ao Yonhi Bheegtay Chalain"
In Raston Main Der Talak Ghomtay Chalain

Mere Kamar Me Hath Ye Pholon Sa Daal Kar
Kandhay Pe Mere Rakahy Raho Yonhi Apna Sir

Hathon Ko Kabhi Me Balon Ko Chom Lon
Dekho Mere Taraf To Me Ankhon Ko Chom Lon

Pani K Ye Jo Phol Hain Rukh Pe Khilay Huay
In Me Dhanak K Rung Hain Saray Ghulay Huay

Honton Say Un Ko Chuntay Rahain Khush Dili K Sath
Taray Hamain Talash Karain Chandni K Saath

Yonhi Kisi Darkht K Neechay Kharay Rahain
Barish K Der Baad Bhe Liptay Kharay Rahain

Tum Nay Kaha Tha Ao Chalain Raat Agayi
Dil Jis Say Dar Raha Tha Wohi Baat Agayi

Beetay Samay Ki Yaad He Raston Me Rah Na Jaye
Ye Dil Kahin Visaal Ki Barish Me Beh Na Jaye

Kuch Der Aik Chup Se Rahi Darmyan Me
Girhain Se Jaisay Parnay Lagi Hon Zaban Me

Yak Dum Gira Tha Phol Koi Shakhsar Say
Dekha Tha Tum Nay Mere Taraf Iztarar Say

Barish Me Bheegtay Huay Jhonkay Hawa K Thay
Woh Chand Be Guman Lamhay, Bala K Thay

Nasha Sa Charon Taraf Phailta Gaya
Lamha Lamha Mai Tere Qareeb Aata Gya..

Phir Youn Hua K Waqt Manzil Pr Ruk Gya..
Mai Tujh Mein Rooh Ki Trhan Samaa Gya..!!

Zindagi me abhi to bahut chalna baki hain



Zindagi me abhi to bahut chalna baki hain
Abhi to kai Imtehano se gujarna baki hain
Hume Ladna h zindagi ki sabhi muskilo se
Humne toh mutti bhar zameen naapi hain
Abhi to hume sara jahan naapna baki hain …

Khwab Bankar Aapki Ankho Me Saamana Hai



Khwab Bankar Aapki Ankho Me Saamana Hai,
Dawa Bankar Aapka Har Dard Mitaana Hai,
Qabool Hai Mujhe Zamane Bhar Ki Nafrat Par,
Aapka Pyar Bankar Aapko Pana Hai

Bahut kam log hote hai


Bahut kam log hote hai

jamaane me aise, . Sacchi chaahat ki jinhe pahchaan hoti hai, .

Itna soch lena kisi pe mar mitne se pahle, . Ki gawaane ke liye ek hi jaan hoti hai…. 

Hum To Tere Har Baat Bhol Chuky The


Hum To Tere Har Baat Bhol Chuky The
Jane Kiyo Log Tere Yaad Dilane Aye
Tere Gali Me Tere Deed Ki Khatir
Hum Kise Our Se Milne K Bahane Aye

Aaj bhi baki hai kuch yaadein teri mohabbat ki


Aaj bhi baki hai...

kuch yaadein teri mohabbat ki mere dil mein
aaj bhi baki hai...

bitaayein saath jo pal unki mehak meri
saanson mein aaj bhi baki h...

tere mere darmiyaan faasle zamaane ki
saugaat hai mujhe...

warna tere ishq ki kasak mere zehan mein
aaj bhi baki hai...

Kya kya hamarey khuwab they


Kya kya hamarey khuwab they,jaany kahan pay kho gaye ...!
Tum bhe kisi ky sath ho,Hum bhe kisi ky hogaaye ...!

Dil Se Dil Ki Doorie Nahi Hoti,



Dil Se Dil Ki Doorie Nahi Hoti,
Kaash Koi Majburi Nahi Hoti,
Milne Ki Tamanna To Bahot Hai,
Lekin Kehte He Har Tamanna Puri Nahi Hoti…

Unko Yeh Lagta Hai Hum Unpe



Unko Yeh Lagta Hai Hum Unpe Marte Hain
Humko Yeh Lagta Hai Ke Who Hum Pe Marte Hain
Daur Zindagi Ka Guzar Jayega Yoon Hi Humdum
Na Who Kuchh Poochhte Hain Humsey..
Na Hum Kuchh Keh Paate Hain…

Dil dharakta hai tujhe dekhun to



Dil dharakta hai tujhe dekhun to,
Saans bhi meri rukne lagti hai…
Pyar itna hai mere dilmey sanam,
Rooh bhi meri khinch ne lagti hai…!
Chain milta hai jab mei dekhun tujhe,
Warna ya saans rukne lagti hai…!!!

Tu Nay Apna Samajh K IK Baar



Tu Nay Apna Samajh K IK Baar To Maangi Hoti,,!!
Jaan Ki Qasam, Kiya Jaan Hmain,Jaan Say Pyaari thi