Showing posts with label Bewafa Shayari. Show all posts

Raat ki khamoshi raas nahi aati

Raat ki khamoshi raas nahi aati…
meri parchayi bhi ab mere paas nahi aati…
aati hai toh bus aapki yaad
jo aakar ek pal bhi mujhse door nahi jaati…

Acha hua Maloom ho gaya



Acha hua Maloom ho gaya, 
apno ki Mohabbat ab mohabbat nahi rahi….

Warna hum toh apna ghar bhi chord rahe they, 
unke dil main rehne ke liye….

Wohi haath kisi aur k haathon main



Wohi haath kisi aur k haathon main AjeEb lagta hain,,♥

Jin haathon ki choriyan kabhi to0ti thi mera haath main,,♥

Kabhi hum tutey toh kabhi khwaab tutey


Kabhi hum tutey toh kabhi khwaab tutey,
Na jane kitne tukron mein armaan tutey
Har tukra aayina hai zindagi ka,
Har aayine ke saath laakhon jazbaat tutey

Muskrana seekh liya…



Dil me tamannaon ko dabana seekh liya,

Gam ko ankhon me chhipana seekh liya,
Mere chahre se kahin koi baat zaahir na ho,
Daba ke hothon ko hamne muskrana seekh liya…

Apne Dil Me Bahot Se raaaz Daba ke Rakhe hai Mene


Apne Dil Me Bahot Se raaaz Daba ke Rakhe hai Mene,
Aur Jhoothi Si Muskan Hontho pe Saja ke Rakhi hai Mene,
.
Ye Duniya Rote Huye Logo Ka Saath Nahi Deti Dosto,
Is Liye apne Aansuo Ko chupa ke Rakha hai Mene...

aza Na Do Mujh Ko Be-Qasoor Hon Mein



Saza Na Do Mujh Ko Be-Qasoor Hon Mein
Tham Lo Mujko Ghamon Sy Choor Hon Mein
Tere Pyar Ny Kr Diya Pagal Sa Mujhy
Aur Logon Ka Kehna Hai K Maghror Hon Mein!!

Aaj bhi baki hai kuch yaadein teri mohabbat ki


Aaj bhi baki hai...

kuch yaadein teri mohabbat ki mere dil mein
aaj bhi baki hai...

bitaayein saath jo pal unki mehak meri
saanson mein aaj bhi baki h...

tere mere darmiyaan faasle zamaane ki
saugaat hai mujhe...

warna tere ishq ki kasak mere zehan mein
aaj bhi baki hai...

Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga


Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga..
Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga..
Sounke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka..
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga?

Bahut ajeeb hain ye bandashen



Bahut ajeeb hain ye bandashen mohabbat ki..
Na uss ne Qaid mein rakha na hum fraar huey.....

Mujhe Malom Hai Ki Wo Mera Kabhi



Mujhe Malom Hai Ki Wo Mera Kabhi Bhi Nahi Ho Sakta,
Mujhe Bas Shauq Hai Us Ki Khatir Zindagi Barbad Karne Ka.. .

Woh Toh Paani Ki Boond Hai Jo Ankho Se Beh Jaye


Woh Toh Paani Ki Boond Hai Jo Ankho Se Beh Jaye,
Aansu Toh Woh Hai Jo Tadap K Ankho Me Hi Reh Jaye,
Woh Pyar Kya Jo Lafzo Me Bayan Ho?
Pyar Toh Woh Hai Jo Aakhon Me Nazar Aaye…

Waqt Guzrega Toh Hum Sambhal Jayenge
Maut Se Pehla Samajh Jayenge
Ki Bewafai Unki Fitrat Hai, Na Ki Majburi
Tanhai Mein Hi Sahi, Hum Phir Se Bus Jayenge

Unke Liye Ajnabi Hum Ho Gaye
Dosti Ke Kuch Silsile Kam Ho Gaye
Ab Khushiyon Se Zyada Gham Hain Zindagi Mein
Kya Pata Bewafa Waqt Hua Ya Badnaseeb Hum Ho Gaye…

Na milta gam to barbaadi ke afasaane kaha jaate


Na milta gam to barbaadi ke afasaane kaha jaate,
Duniya agar hoti chaman to wiraane kaha jaate,
Chalo acha hua apno me koi gair to nikla,
Sabhi agar hote apne to begane kaha jaate…


Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The…
Ujale Me Bhi Shor Machaya Karte The…
Usi Diye Ne Jala Diya Mere Hatho Ko
Jis Diye Ko Hum Hawa se Bachaya Karte The…

Tujse dosti karne ka hisab na aya



Tujse dosti karne ka hisab na aya,
Mere kisi bhi sawal ka jawab na aya,
Hum to jagte rahe tere hi khayalo me,
Aur tujhe so kar bhi hamara khawab na aya. ..


Jee lete hain Koi humein agar kahe bura,
dua dekar usse honton ko hum see lete hain
Dard ho chahe kaisa,
zehar yeh chupke se hum pee lete hain…

Teri yaadon ke chiragon ko jalaya har shaam


Teri yaadon ke chiragon ko jalaya har shaam,
Teri baato ko seene Se lagaya har shaam,
Maangi khuda se teri khushi ki duayein,
Tanha baith ke haatho ko uthaaya har shaam..


Mohabbat Ke Sapney Wo Dikhaatay Bahut Hain..
Raaton Main Wo Hum Ko Jagaatay Bahut Hain..
Main Aankhon Main Kaajal Lagaaun To Kaise..
In Aankho Ko Log Rulaatay Bahut Hain!

Suna Hai Pyaar Ke Kissey Ajib Hote Hain


Suna Hai Pyaar Ke Kissey Ajib Hote Hain,
Khushi Ke Badle Gam Naseeb Hote Hain,
Mere Dost Mohabbat Na Karna Kabhi,
Pyaar Karnewale Bade Badnaseeb Hote Hai…

Jaane kyu log hame aajmate hai


Toota ho dil to dukh hota hai
Karke mohabbat kisi se ye dil rota hai
Dard ka ehsaas to tab hota hai jab
Kisi se mohabbat ho aur uske dil mei koi aur hota hai…


Jaane kyu log hame aajmate hai
kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai
sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad
log barish ko bhul jate hai…

Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi


Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi
Hum To Tujhe Yaad Karte Rehte Hain
Tujhe Dekhne Ko Dil Tarsata Hai
Hum To Intezar Karte Rehte Hain…


Rona padta hai ek din muskurane ke baad..
Yad aate hain wo dur jane ke baad..
Dil to dukhta hee hai uske liye..
Jo apna na ho sake itni mohabat jatane ke baad..!


Duniya me jeene ki chahat na hoti


Duniya me jeene ki chahat na hoti
Agar khudane mohabbat banayi na hoti,
Log marne ki aarzoo na karte
Agar mohabbat me bewafai na hoti.
Yadon me hamari wo bhi khoye honge
Khuli aankhonse kabhi wo bhi soye honge,
Mana hasna hai ada gam chhupane ki
Par haste haste kabhi wo bhi roye honge…

Hume izhaar karna nahi aaya


Hume izhaar karna nahi aaya,
Unhe pyar karna nahi aaya,
Hum bas dekhte hi reh gaye,
Aur waqt ko thamna nahi aaya,
Wo chalte chalte itne door chale gaye,
Hume rokna bhi nahi aaya…



Kitna ikhtiyar tha use apni chahat par,
Jab chaha yaad kiya,jab chaha bhula diya…..
Bahut achche se janta hai wo mujhe behlane k tareeke,
Jab chaha hasa diya,jab chaha rula diya….!